Sunday, June 27, 2010

Gulaal - Aaramb hai prachand

Aarambh hai prachand,
Bole mastakon ke jhund,
Aaj jung ki ghadi ki tum guhaar do.
Aan baan shaan ya ki jaan ka ho daan,
Aaj ek dhanush ke baan pe utaar do,
Aarambh hai prachand,
Bole mastakon ke jhund,
Aaj jung ki ghadi ki tum guhar do
Aan baan shaan ya ki jaan ka ho daan,
Aaj ek dhanush ke baan pe utaar do,
Aarambh hai prachand…

Mann kare so praan de,
Jo mann kare so praan le,
Wahi to ek sarv shaktimaan hai.
Krishn ki pukaar hai yeh bhaagwat ka saar hai,
Ki yudh hi tho veer ka pramaan hai...
Kauravon ki bheed ho ya pandavon ka need ho,
Jo lad saka hai wohi to mahaan hai..

Jeet ki hawas nahi, kisi pe koi vash nahin,
Kya zindagi hai thokaron pe maar do,
Maut anth hai nahi tho maut se bhi kyu dare?
Yeh jaake aasmaan mein dahaad do,

Aarambh hai prachand,
Bole mastakon ke jhund,
Aaj jung ki ghadi ki tum guhar do
Aan baan shaan ya ki jaan ka ho daan,
Aaj ek dhanush ke baan pe utaar do,
Aarambh hai prachand…

Ho daya ka bhaav ya ki shaurya ka chunaav,
Ya ki haar ka wo ghaav tum yeh soch lo...
Ya ki poore bhaal bhar jala rahe vijay ka laal,
Laal yeh gulaal, tum yeh soch lo,
Rang kesari ho ya mridang kesari ho ya ki,
Kesari ho laal tum yeh soch lo..

Jis kavi ki kalpana mein zindagi ho prem geet,
Uss kavi ko aaj tum nakaar do,
Bheegti nasson mein aaj, phoolti rago mein aaj,
aag ki lapat ka tum baghaar do,

Aarambh hai prachand,
Bole mastako ke jhund,
Aaj jung ki ghadi ki tum guhar do
Aan baan shaan ya ki jaan ka ho daan,
Aaj ek dhanush ke baan pe utaar do,
Aarambh hai prachand
Hoye hoye hoye…


I'm just not able to get over Gulaal lyrics.
"Jeet ki hawas nahi, kisi pe koi vash nahin,
Kya zindagi hai thokaron pe maar do,
Maut anth hai nahi tho maut se bhi kyu dare?
Yeh jaake aasmaan mein dahaad do"

How could someone write such lyrics? What mindset should one be in to do that ??? Damn ... I have listened to the song a min of 50times over the last 10hrs. I just just just cant get over the lyrics. Each line has such depth !!

Gulaal - Lyrics
Leader - Screenplay
Prasthanam - Dialogues
Raajneeti - Story

No comments:

The never ending post